Breaking Bad: Filmy Fliks me aapka swagat hai dosto, Aaj me baat karne wala hu ek web series ki, ek esi web series jise release huye to 11 saal ho chuke hai par aaj bhi iska naam one of the top web series me liya jata hai. Ji han ham baat kar rahe hai breaking bad ki.
Aapko bata du is web series ko mene is mahine hi shuru kiya hai, aur mujhe itna afsos ho raha hai ki kya batau, matlab ki itne saal lag gaye ek best web series dekhne ke liye.
Aur yahi ek wajah keh sakte hai mere is blog banane ki, taki ek se ek movie ho ya web series, nayi ho ya purani, hindi me ho ya english ya koi aur bhasha me, yaha par un sabhi ko dekh kar unke bare me likha jayega.
BREAKING BAD STORY: Breaking Bad ki kahani ek middle class chemistry teacher ki jise pata chalta hai ki use lung cancer hai, lekin uske pas utne paise nahi hote us wajah se use esa rasta chunna padta hai jo use pasand nahi hota. Aur usi bich uski mulakat hoti hai Jesse se jo unka student reh chuka hota hai. Aur wo dono milkar Meth (some kind of a drug) banate hai aur bechne lagte hai.
Aur fir us raste par chalte chalte kya kya hota hai uske liye uske liye aapko ye series dekhni hogi.
BREAKING BAD HOW MANY SEASON: Breaking Bad ke abhi tak 5 season aa chuke hai. Jo shuru hote hai 2008 se. Jinme pehle season me 8 episode aur 2,3,4 me 13 episodes aur 5th season me 16 episodes hai. Halaki aapko bata du ye english me hai.
Ek baat ki guarantee deta hu ki pehle episode se hi aap is series ke diwaane ho jayenge. Aur series dekhte hai to comment jarur kare, sirf comment nahi par apna review bataye aur sath hi me rate bhi kare out of 5 star kitne milne chahiye. Ta ki hamare readers ko ek view mile.
BREAKING BAD SE RELATED SERIES: Ji han agar apne breaking bad series ko khatam kar liya hai to aap usi series ki spin off series dekh sakhte hai. jiska nam hai Better Call Saul, ye prequel series hai jisme aapko kafi sare character dikhenge breaking bad wale.
Aur achhi baat ye hai ki is series ka 5th season hal hi me release hua hai. to aap use dekh sakte hai. aur sabse best baat ye hai ki maine apne channel par iska hindi me explain bhi kiya hai. me link de raha hu aap chahe to waha se dekh sakte hai.

No comments
Note: Only a member of this blog may post a comment.